IFSC Code kya hai? Kisi bank ka IFSC code kaise pata kare.?

 


IFSC Code kya hai?  Kisi bank ka IFSC code kaise pata kare.? 


aaj ka samay Digital banks ka hai aur iske liye aapko Passbook ki jarurat nahi hota hai aise me Bank IFSC Code yaad rakhna aasan nahi hai. aise me agar aap apne ghar se door rahte hai aur paise transfer krna chahte hai unke liye IFSC code yad  karna padta hai. 


aap bane rahe aur jaante hai ek best internet banking technique ke baare me,





IFSC Code kya hai (What is IFSC in Hindi?)


IFSC code Full Form hota hai “Indian Financial System Code“ is General bhasha me ham is short Code IFSC ke nam se jaante hai. yah ek Alphanumeric Code hai, jo ki Electronic fund Transfer dwara banaya jaata hai.


yah har ek Bank ke liye aur uske har ek Branch ke liye Unique hota hai. yaani agar kisi Bank ke 2 Branch hai to un donon ka Code alag-alag hoga.


Isme total 11 Alphanumeric Character hote hai. jisme se pahle 4 Character me Bank ka naam diya hota hai, pachva Character 0 hota hai aur last ke 6 Character me bank Branch ka Detail diya hota hai.



Example: mere paas SBI(State Bank Of India) ka ek IFSC Code hai, jo ki is prakaar dikhta hai.


SBIN0000058


Isme “SBIN” ka matlab hai SBI bank aur uske baad 0000058 ka matlab hai. yah jis SBI Branch ka I F S C hai uska Code 0000058 hai.


Iska Use NEFT(National Electronic Fund Transfer) aur RTGS(Real Time Gross Settlement) karte hai IFSC Code Information ko har ek branch se dusre Branch tak pahuchane me aur har ek Bank Branch ko Identify karne me. 


bank ka IFSC Code kaise pata kare (How to find Bank IFSC Code)?


kisi bhi Bank ka  IFSC Code pata karna , aasan bhi hai aur kathi bhi. agar hame Bank ka naam aur Address pata hai to ham us Bank ke Code ke baare me bahut aasani se jaankari hasil kar sakte hai. lekin agar hame Bank Name aur Address ke baare me jaankari nahi hai to us Bank ka yah code pata karna bahut kathin hai.


chuki yah  ek Public Code hai, jinhe koi bhi, kisi bhi Bank ka IFSC Code pata kar sakta hai. kisi bhi Bank pata karne ke liye Basically 4 cheezo  ki jarurat hoti hai.


Bank ka naam


Bank kis State me hai


Bank kis district me hai


jile ke andar Bank ka Local Address kya hai.


Example:


Bank ka nam: State bank India


Bank kis state me hai: Uttar Pradesh


Bank kis jile me hai: Sant Kabir Nagar


jile ke andar Bank ka lokal address kya hai: Gola Bazaar, Khalilabad


STEP 1. agar hamare me paas ye 4 cheeze hai kisi bhi bank se related to hame Bank IFSC Code ke IFSC Code Finder Tool se kisi bhi Bank ka I F SC Code pata kar sakte hai. Iske liye hame Bank IFSC Code Ke Website(https://bankifsccode.com/) par jaana hoga.


uske baad iske IFSC Finder tool se bank ka naam Select karna hoga, jiska I F S C  pata karna hai.



STEP 2.  Bank Select karne ke baad State Select karna hota hai, jis bhi State ke Bank ka IFSC Code pata karna hai. agar aap sahi bank ka chunav nahi karte hai to ho sakta hai aapko sahi information na mil paye  isliye dhyan se apne bank kaa naam select kare.



STEP 3. ab State ke baad District yani jilaa Select karna hota hai, jis bhi jile ke Bank ka   

I F S C pata karna hai. apne Account jaha se open kiya hai us jile ka naam aapko yaad rakhna hoga aur yah bahut aasan bhi hai kyuki jyadatar account hamare apne jile se hote hai.



STEP 4. Last me Local Branch Address Select karna hota hai. uske baad Find Now par click kar dena hota hai. apne jis branch se apna account open karaya hoga uska naam to aapko yad hoga jaise ki mai ne apna account Khalilabad me open karaya tha to mera branch us shahar me hai.



STEP 5. Find Now par click karne ke baad us Bank ka I F S C  pure Address ke saath hamare samne hota hai. Iska Use karke  ham Online Money Transfer, Fund Transfer ke liye kar sakte hai.



kya IFSC Code se bank ka Address pata kar sakte hai?


hame ye pata chal gaya ki IFSC Code Hindi aur saath hamne ye bhi jaana ki agar hame kisi Bank ka naam aur Address pata ho to ham kaise uska IFSC  pata kar sakte hai. lekin kya hamen kisi bhi bank ke IFSC se us Bank ke Address ke baare me jaankari mil sakta hai.


ji ha, bilakul mil sakta hai. IFSC kisi bhi Bank Branch ka  Unique Code hota hai , jisme Bank Address se related sabhi jaankari Store hota hai. agar hamare pas koi I F S C hai aur hame pata karna hai ki wah kis jagah ke Bank ka Code hai. to hame iske liye bas https://economictimes.indiatimes.com/wealth/ifsc-bank-code Website open karna hoga. 


bank se jude jaruri jaankari


uske baad “Enter IFSC  to Know Bank Details” Option me Bank ka I F S C  paste karna hoga aur phir Get Details Option par click karna hoga. phir IFSC Reverse Finder us Bank ka Details Fetch karke hame uske baare me saari jaankari Provide kar dega, ki vah Bank ki jagah ka hai aur uska Branch Address kya hai.



doston,   iske baare me ham sabhi jaankari hona chahiye kyuki jab bhi  kisi Mobile Wallet yaa Net banking se Money transfer karte hai Bank Account me, to iske liye hame IFSC ki jarurat hota hai. jaise ki…


Paytm Mobile Wallet ka lagabhag sabhi log Use karte hai. jab bhi hame Paytm se kisi bank Account me paise Send karte hai to waha par Account Holder Name, Bank Account Number ke saath-saath ise Enter karne ka option hota hai aur jab tak ham sahi code enter nahi karte hai. tab tak paise send nahi hota hai. 

Post a Comment

Previous Post Next Post