Bina ATM ke paise kaise nikale

 Bina ATM ke paise kaise nikale? 


Is YONO app ko bhi install aur use karna bhi any mobile aap jaisa hi saaman aur free hai. aap ise google playstore  tatha App Store se download kr sakte hai iske liye aapko search baar me ja kar SBI YONO Enter karne ke baad search ka botton ko press karenge.


aisa karne se aapko sabse pahle hi line  me yah blue purple colors combination wala  SBI YONO app mil jaayega , iske baad install botton par click karne par yaha mobile aap aapke mobile phone par automatically install ho jayega। iske baad aap is aap par registration karne ke liye bilkul taiyaar ho jayenge।



 YONO app par kaise ragistraton  kare?


Is YONO App ko savdhani se apne mobile par instal karne ke baad aapko agle charan ke liye is par registration karna hoga।  is prakriya me yaha aapke paas do vikalp honge pahla aap apni SBI enternet  banking login ID v password ki madad se activate  kar sakte hai ya dusre vikalp ke taur par aap apne ATM  Card ka upyog kar ke bhi aap registration kar sakte hai। donon vikalp me se kisi ka bhi use kar ke aap yah nimn prakriya ko puri kar savdhani  purvak registration karne me sanksham ho jaayenge।


step 1– jab aap YONO App ko open kare , jaise hi aap use open karange waha par aapko Existing Customer ka option dikhai dega,  botton par click kar dena hoga.


Download SBI YONO – Click here


step 2– agle charan me vaha par do option YES aur NO aayenge , to agar aapke paas SBI net banking facility hai to aap us botton par  click kar de , aur agar ne SBI net banking facility nahi hai to aap us No botton par click kar , aap apne ATM card ki madad se registration kar sakte hai.



step 3– agar aapne Yes botton par click kiya tha to aap apni SBI net bainking facility ka use kar show ho rahe form me apni lagin id v pasword enter kar registration prakriya ko puri kar sakte hai.



step 4– agar aapne us NO botton par click kiya tha to aap apne ATM Card ki details dikh rahe form me bharni hogi jaisa ki aapke ATM card ka numbar tatha aapka ATM Pin code , uske baad submit botton par click karna hoga. 



step 5– iske baad aapko apna ek  unique Username  aur Password banana hoga aur phir se submit botton par click karna hoga.




step 6– is agle charan me aapko apna ek 6 digit ka MPIN set karna hoga jiski madad se hi  aap aage chal kar koi bhi transaction  ya koi bhi action kar pange.



step 7– ab jaise hi aap apna 6 digit ka MPIN prakriya puri karte hai to bank dwara is last prakriya ko pura karne ke liye aapke registered mobile numbar par ek OTP    paasword  aayega ise aapko dikh rahi screen par enter karna hoga।  aur jaise hi aap yah OTP dikh rahi screen par  enter karenge aapke ragistrestion prakriya puri tarah se puri ho jaayegi.




upayukt prakriya ko karne ke uprant aapke dwara apne is SBI YONO App ko


puri tarah se sakriy kar chuke honge tatha ab aap ise use karne ke liye puri tarah se taiyaar ho jaayenge।


5 chijen SBI ke grahak YONO App se kar sakte hain–


bainking gatividhiyan


Pin praapt kare


Use SIA Bot


One view dashboard


kharidari


aaiye ab ham jaldi se sankshep me jaante  hai is  SBI Yono App se aap kis kis tarah ki sevao ka laabh le sakte hai–


bina Atm card ke kaise nikal sakte hai।


ghar baithe apne account ka balance jaan sakte hai।


Digital madhyam se aap maatr 5 minit me ek naya SBI account khol sakte hai. 


ghar baithe,  kabhi bhi, kahi bhi. kisi dusre  vyakti ke bank account me  paise transfer kar sakte hai।


bina bank jaaye ghar baithe    Pree Approved Personal Loan praapt kar sakte hai.


yaha par fix deposits ke badle me over draft namak suvidhaa bhi upalabdh hoti hai.


Investment products tatha Insorenc policy bhi  kharidne ki suvidha hai


Iske saath hi aap is SBI Yono App se online booking ke saath saath kharidari bhi kar sakte hai।


aap yahi se kayi any tarah ki cheeze jaise Travelling , Food and Drinks,Books, Cab Booking, Movies Tickets aur Medical jaisi jaruri sevao  ka bhi laabh le sakte hai। For Example – Uber, Amazon, Myntra, Thomas cook, Yatra, BookMyShow aadi.


bina ATM Cash kaise nikale?


jab aap SBI YONO ko download karke apna account setup kar lenge phir aap ready  ho jaayenge bina Debit card cash withdrawal karne ke liye aur aap chahe to SBI ATM jaakar bina card ke paise nikal sakte hai.


ham sabhi jaante hai ki ATM machine se paise nikalne ke liye card chahiye hota hai aur koi bhi bina card ke transaction nahi kar sakta hai lekin agar aapke paas YONO account hai to aap bina card ke bhi Atm ka istemal kar sakte hai aur paise nikal  sakte hai. 




Post a Comment

Previous Post Next Post