kis Company ka Laptop sabse achchha hota hai?

 


Laptop kharidne me ham sabse jyaada galti tab karte hai jab ham kisi brand ke bare me baar-baar sunte hai aur usi se tay kar lete hai ki yah Laptop brand sabse best hai aur mujhe yahi laptop lena chahiye . main sabse pahla laptop kharidte samay yahi galti kiya aur jab mainne Dell Inspiron laptop khrida 2013 me aur iske liye mainne karib 42 hajar rupye diya aur mainne i5 laptop, 8GB RAM ke saath khrida.

kis Company ka Laptop sabse achchha hota hai?


lekin kuchh samay baad usme Problem aana start ho gaya pahle sound, display aur phir motherboards maine uske price se jyaada us laptop ke issue solve karne ke liya paise kharch kar dia. kuchh samay baad phir uska motherboard kharab ho gaya aur maine use phir kabhi nahi banvaya aur mujhe naye laptop ko phir se lene men 2 saal se jyaada samay laga.


maine phir agle kuchh saalo me 4 laptop khride 3 alag brand ke aur yaha par usi aadhaar par batane vala hu kis brand ka laptop sahi hota hai? aur kaise aap sahi laptop kharid sakte hai?


1. Hardware:


Laptop ke hardware se jyaada ham uske software specifications par jyaada dhyaan dete hai. jab ki Software problem aasaani se solve ho jaate hai jab hardware problems ke aapko paise kharch karne hote hai. Laptopmag ke ek survey ke hisaab se 2019 me HP Laptop ke hardware sabse behatar hote hai aur dusre number par Asus aata hai. mainne Asus laptop 2016 me khrida tha jo ki keval 25000 rupye ka tha aur really uska hardware specification achchha hota hai. mainne us laptop ko 2 saal estemal kiyaa (jab tak chori nahin ho gaya) mujhe kisi bhi tarah ka hardware issue dekhne ko nahin mila.


Asus ke hardware achchhe hote hai aur iska ek kaaran hai kyoki Asus khud motherboard manufacture karta hai. tisre numbar par aata hai Dell lekin eske saath mera experience kabhi bhi sahi nahi raha hain.


2. Specifications:


Laptop kharidne ke liya dusri sabse jaruri tips hai jise dhyaan men rakhna chaahiye vah hota hai Laptop me diya hardware & software ke specifications aur features. esi ki vajah se laptop smooth chalta hai aur jis kaam ke liye aap Laptop buy karna chahate hai. jaise ki Gaming laptop


RAM: Laptop brand ki tarah RAM banaane vaali companies hai es samay


  • Corsair Vengeance LED
  • Kingston HyperX Predator
  • G.Skill Trident Z RGB
  • Kingston HyperX Fury


jaise bahut companies RAM banti hai lekin aapko inke brand se jyaada aapko RAM Speed aur version par dhyan dena chahiya is samay DDR4 SDRM version RAM behatar hote hai aur aap 1333MHz – 2666 MHz speed vaale RAM laptop ke liya achchhe hote hai.


Processor: yah Laptop ka dusra sabse jaruri specification hota hai aur ye ham sabhi jaante hai ki Intel sabse behatar computer processor banta hai. lekin processor me aapko Intel brand ke saath-saath eske features ko bhi dhyaan dena hota hai. yahaan par kuchh jaruri features hain.


Processor Core: Core CPU processing ka hissa hota hai aur yah computer read & execute me madad karta hai yahi task ko pura karne me madad karta hai. apne Intel processor core ke baare men jarur suna hoga i3, i5, i7 etyadi. maine processor core ke baare me detail se bataya hai aap yahaan se dekh sakte hai.


Processor Generation: Generation kisi Intel processor ke liye bahut maayne rakhta hai kyoki generation ke hisaab se processor ka work process, technology sab kuchh change hota hai. agar aap kare Intel i3 10th generation aur Intel i5 3rd generation to aapko milega Intel i3 10th generation ka performance jyaada behatar hain.


Processor Clock Speed: Clock speed directly CPU performance ko impact karta hai. bas aap itna samajh lo jitna jyaada clock speed utana hi behatar laptop performance aapko dekhne ko milega.


Cache Memory: yah ek fast memory hai jo ki CPU aur RAM ke bich men kaam karta hai yah laptop performance bdhne men bahut madad karta hai. yah Size men to 6MB, 8MB jitana hota hai lekin yah laptop ke liye bahut jaruri hain.


Display: Laptop display ko ham sabse jaruri features men to nahin rakh sakte hai lekin hamesha laptop kharidte samay HD aur FHD screen ka dhyaan rakhna chaahiye aur agar aap gaming ya video editing ke liye le rahe hai khash kar.


Storage: laptop ke liye 2 sabse common storage hote hai SSD aur HDD aur ye ham sabhi jaante hai SSD faster hota hai aur agar aapko jyaada storage ka kaam nahin hai ya phir aapka budget thoda achchha hai to aap SSD jarur le sakte hai.


4. User Review:




Laptop chaahe online khride ya offline lekin sabse pahle uska user review check kare aur dhyaan de padhe kyoki bahut se aise brand bhi hai jo aapko kam kimat par achchhe specifications to dete hai lekin unki quality achchhi nahi hoti hai. aise me aapko user review se pata chal jaayega ki uska performance kaisa hai. User review check karne ke liya aap Amazon ya Flipkart ka sahara le kyoki yahaan par keval unhi ka review hota hai. jinhonne laptop ko khrida ho.


Conclusion:


hamne ye to jaan liya ki kaun se sabse jaruri features hai jinhe Laptop kharidte samay dhyaan dena chahiya lekin abhi ye jaanna baaki hai kis company ka laptop sabse achchha hota hai? maine Dell, Acer aur Asus ka laptop istemaal kiya hai. jisme mujhe price aur specifications ke hisaab se sabse behatar laptop company laga Asus.


Acer bhi thik hai lekin mainne performance ko lekar thode issue face kiye hai jabaki main aasani se Asus ke i3 laptop par ghanto gem khel leta hu vo bhi NFS 2015, max payne aur Batman jaise gem.


ummid hai aap sabhi ke liye yah post helpful raha ho aur yahan maine apne experience se bataya hai ki Asus laptop behatar hota hai. agar aapke vichaar men koi aur brand hai to uske baare me comment me Karan ke saath bataaye.


Post a Comment

Previous Post Next Post