ek din me Confirm Train Ticket Book kaise kare?

 ek din me Confirm Train Ticket Book kaise kare? 


abhi bhi bahut sare log Mumbai, Delhi , Chennai jaise bade shahron me jaane ke liye agent ke madhyam se ticket booking karte hai aur eske liye vah 100 se 500 rupye tak ka commission dete hai lekin agar aapko IRCTC mobile app yaa website ke baare me jankari hai to aap ghar baithe kabhi bhi train ticket book kar sakte hai aur kabhi bhi cancel kar sakte hai.


eske saath agar aap student hai aur railway job exams me baithte hai to aapke liye ye janna bhi bahut jaruri hai ki IRCTC full form kya hota hai? PNR full form kya hota hai? aur ek vyakti in sabhi ka benefits kaise le sakta hai. eske baare me shayad aap se question puchh liya  jaaye aise me aapko in sabhi ke bare me general information hona chahiye. 





Note: Corona virus ki vajah se sabhi trains band thi aur jo bhi vyakti apne ghar se dur tha vah vahi phas gaya tha lekin government ne kuchh din pahle hi aise logo ke special train chalwayi, 




sabse pahle jaante hai ki IRCTC Full form kya hota hai?


Indian Railway Catering and Tourism Corporation


yah IRCTC ka full form hota hai aur yah Indian railway ka ek hissa hai jo ki catering, tourism aur online ticketing system ko manage karta hai. yah duniya ka sabse busy ticket booking center hai jaha par har din kam se kam 5,50,000 to 6,00,000 ticket har din book kiye jaate hai.


IRCTC ne abhi 2019 se India ki pahal private train Tejas express ko introduce kiya jo ki Lucknow se Delhi ke beech chalegaa aur eska headquarter bhi New Delhi me hai. agar baat kare IRCTC app ki to ese abhi 10,000,000+ logo ne download kar liya hai aur eske website par lagabhag 20 se 25 laakh traffic aata hai aur esi vajah se site ko daly maintenance karne ki jarurat hoti hai.


ab jaante hai PNR full form kya hota hai?


Passenger Name Record


yah hota hai PNR ka full form aur apne ticket book karne ke baad apna PNR Status jarur check kiya hoga khash kar jab aapka booking waiting ya share me ho to jarur ham PNR status check karte hai aur yah har ek vyakti ke liye unique hota hai ya kah lijiye  yah har ticket ke liye unique hota hai.


jisme Passenger ke baare me information store kiya jata hai aur koi bhi vyakti jisne ticket book kiya hai keval PNR number ke maadhyam se apne booking ke baare me jankari hasil kar sakta hai.


jab bhi koi vyakti IRCTC app, website ya offline madhyam se ticket booking karta hai to uske bare me saari jankari CSR(Central Reservation System) me data ke roop me save hota hai aur usko access karne ke liye ek number key mil jaata hai jise PNR kahte hai aur yah har ek ticket par maujood hotaa hai.


PNR Status Check kaise kare?


agar apne ticket booking karaya hai aur aapka ticket confirm nahi hua to aap kaise uska PNR status check kar sakte hai? eske liye aapke pas ticket hona chahiye ya phir SMS ya email hona chahiye jaha se aapko booking ka PNR number mil sake.


PNR status check karne ke liye bahut se online application hai jaha se aap mobile ya web browser par check kar sakte hai aur apne ticket ki sthiti ke bare me jankari hasil kar sakte hai. mai yahan par isi me se ek important web application ke bare me batane wala hun jise aap free me istemaal kar sakte hai.


ek website hai jiska naam hai trainspnrstatus.com yahan par kisi bhi train, kisi bhi shahar ke liye booked ticket status ke bare me check kar sakte hai vo bhi free. aapko bas browser me ye URL open karna hoga.


Website open karne ke bad search box me apna PNR number darj kare aur niche diye gaye Get PNR status button par click kare aapko related train aur booking ke bare me jankari mil jayega aur aapko turant pata chal jayega ki aapka ticket confirm hua hai yah nahi,


Instant Confirm Train Ticket Booking kaise kare?


bahut baar aisa emergency aata hai ki hame turant yah 24 hour me train ticket book karna hota hai aur aise me aap sabhi jante hai ki India me to Railway station jaakar aap ticket nahi paa sakte hai. agar mila bhi to wah waiting hoga.


lekin agar aap IRCTC ke bare me jaante hai aur aap eska website ya mobile application istemaal karte hai to aapko railway station jaane ki jarurat nahi hai. aap ghar baithe 24 hours ya same day me confirm train ticket booking kar sakte hai.


IRCTC mobile app aur website dono par aapko Reservation booking ke saath-saath do aur special tarike ticket booking system milta hai. jisse User 24 hour ya usse kam samay ke andar confirm ticket booking kar sakte hai.


Tatkal Ticket Booking:


agar aap kisi train ka ticket book karna chaahte hai to aap to Tatkal scheme ke maadhyam se aap kisi bhi train me, kisi bhi shahar ke liye online Tatkal ticket booking kar sakte hai aur aapko yahan se kisi bhi train ke liye reservation mil sakta hai.


maan lijiye aapko 15 March ko ticket book karna hai to origin station par Tatkal ticket counter 14 March 10:00AM se open ho jata hai aur agar aap website yaa mobile IRCTC app ka istemaal kar rahe hai to iske liye aapko 14 March 11:00AM se Tatkal ticket counter open ho jaata hai.


Tatkal ticket ka price, regular ticket price se thoda jyada hota hai.


Premium Tatkaal Ticket Booking:


Premium Tatkaal thoda sa upgrade hota hai aur yah bhi Tatkaal railway ticket ki tarah hota hai aur thik usi tarah iske bhi offline aur online dono maadhyam se booking kara sakte hai. lekin iska price, regular ticket price ka double hota hai aur jisko emergency hota hai. Wah vyakti Premium Tatkal ticket book kar sakte hai.







Post a Comment

Previous Post Next Post