Bank account me register mobile number ko change kaise karen

 Bank account me register mobile number ko change kaise karen? 



kya aap SBI ya iske jaise kisi bhi Bank account par register mobile number change karna chahte hai? vo bhi bina bank ke chakkar laga to aap bilakul sahi jagah hai yahan par ham aapko batayenge ki kaise aap bank account me register mobile number ko change karne naya nambar update kar sakte hai? lekin aap ek baat dhyan rakhe yah technique tabhi kaam karta hai jab aapka numbar pahle se register ho


agar aapke paas Bank Account hai, to uske saath ek Working Registered Mobile Number jarur hona chahiye. aise me bahut se logo ka Bank Account se Registered Mobile Number band ho jaata hai aur vah Bank jaane ke aalas ki vajah se New Phone Number Update nahi karte hai.


aise me agar aapka bhi Bank Account par Register Phone number band ho gaya hai aur aap use Change karna chahte hai. to aap bilakul sahi jagah hai, yahan par mai aapko bataunga ki bina Bank jaaye Bank Account par Register Mobile nambar change  kaise kare?





agar mai aapko apna anubhav bataaun to mera bhi ek mobile numbar bank me registerd tha aur mujhe vo number use nahi karna tha. phir mujhe ahsas hua ki yah number to bank me register hai. to phir maine socha ki bank me registerd mobile

 number ko kaise change kar sakte hai bina bank jaye?


to mai ne resarch kiya “Bank Account par Register Mobile Number change kaise kare” to aaiye jaante hai ki kaise aap bhi apna register nambar kaise badal sakte hai.


Bank Account par Register Phone Number Change karne ke tarike:


Contents


kuchh saal pahle tak Bank Account par Mobile Number Update yaa Change karne ke liye aapko Bank Branch Office jaana hota aur ek Application dene ke baad aapka Mobile Number Change hota hai. But aaj ke samay Cashless Transaction ka samay hai.


pahle jo ka Bank jaane ke baad hota tha. ab wah Net banking aur ATM Machine ke maadhyam se ho jaata hai.


kisi bhi bank ka fon number change karne ke 3 tarike hai.


Bank Branch Office par jaakar Phone Number kaise change karna hai, iske bare me batane ki jarurat nahi hai. mai yaha  par Internet se ATM se Bank Account par Register Mobile Change karne ke baare me bataunga. kyuki yah dono tarike sabse aasan hai.


aaj ke samay sab kuchh digital hai aur shahar me to 70% tak log online mobile wallet se hi payment karte hai aur aise me aapko kisi mobile wallet ya UPI app se judne ke liye mobile number bank ke saath juda hona chahiye


tabhi aap in features ka istemaal kar payenge eske saath KYC verification bahut jaruri hai jise aap aadhaar card ke saath kara sakte hai.


SBI Internet Banking se mobile number change kaise kare?


agar aapke Account par Internet banking Service Enable hai. to aap in Steps ko Follow karke ghar baithe apna Number Change kar sakte hai.


step 1. sabse pahle aap Onlinesbi.com Website par jaaye aur apne UserName & Password se log  in kare.




step 2. log in karne ke baad Profile Option par click kare.


step 3. jaise hi aap Profile par click karenge, aapke Account se related Information milenge. aap inme se Personal Details option par click kare.


step 4. ab aap apna Profile Password Enter kare.




step 5. ab yaha par aapko Mobile Number Change karne ke 2 option milenge,


Change Mobile through branch


Change Mobile Number Domestic only (OTP/ATM/Contact Center)


aap dusre vaale option par click kare.


step 6.  ab aap yahan apna New Mobile Number Enter kare aur Submit par click kare.




step 7. jaise hi aap Submit par click karenge, to yahan aapko 3 option milenge New Mobile Number Update karne ke liye


OTP


IRATA (ATM)


Contact Center


aap isme se ATM wala option Select kare aur Proceed par click kar de,




step 8. ab yahan par aapko Bank Account Number & Account Type Show karega. aap yaha se Proceed par click kar de.


step 9. jaise hi aap Proceed par click karenge, aapke ATM Card Number aur Name Show karega. aap phir se Proceed par click kar de.


step 10. ab yaha par aapko 1 rupye charge Pay karnaa hoga, iske liye aap apna Card Detail darj karke Transaction Complete kare.


step 11. ab aapkaa Request Submit ho jayega, Guideline par click karke Process complete kare.


SBI ATM Machine se mobile number change kaise kare?


agar aapke pas Net banking Service nahi hai, to aap ATM Machine ki madad se bhi Bank Account par Register Phone Number Change kar sakte hai. But iske liye aapko dhyan dena hai, ki jis bhi Bank ka ATM apne paas hai uske hi ATM Machine se Number Change ho sakta hai.


step 1. ATM Machine par jaane ke baad ATM Card Swipe kare aur Registration Option par click kare.




step 2. ab aap apne ATM ka PIN Number Enter kare.


step 3. Mobile Number Registration option par click kare.


step 4. ab aap Change Mobile Number Option par click kare.


step 5. Yaha par apna Old Phone Number enter karke Correct option par click kare.



step 6. ab aap apna New Mobile Number Enter kare aur Correct option par click kare.


step 7. kuchh hi samay me Process Complete ho jaayega aur aapke Phone Number par ek Reference Number Send ho jaayega aapko vaha par bataaye gaye Format me us Reference number ko  567676 par send karna hai.


In dono tariko se aap aasani ke saath bank par register apne mobile number ko change kar sakte hai aur yahi tarika sabhi banks ke liye bhi hota hai. yaha agar aap SBI ke alawa kisi aur baink ke account holdar hai tab bhi aap Internet banking aur ATM machine ki madad se apne fon number ko change kar sakte hai.




Post a Comment

Previous Post Next Post