WhatsApp ke 3 majedaar tricks (WhatsApp Latest Feature )



 WhatsApp ke 3mazedar trick 


#1 Auto download ko roke :-


aapko pata hi hoga ki whatsapp me ek default setting hoti hai jisme aapko aane wale photos ,videos ,document ye sabhi aane par auto download ho jaate hai iske liye sabse pahle aapko inko rokna hoga hai | sabse pahle apne whatsapp ki setting me jaakar usme aapko Data and storage usage ka option najar aayega | jis par click karne ke baad aapke saamne Media auto-download ke option mebwhen using mobile data , when connected on wifi aur when roaming waale option me se aapko check mark hata dena hai | aisa karne ke baad aap jab photos ,videos and document ko download karte ho vo tabhi download honge |





whatsapp tips and tricks in hindi


#2 group chat delete :-


agar group se jude hua hai to aapko unki chating ,photos and videos ki history ko time time par delete karte rahna chahiye | isse aapki storage kabhi bhi nahi bharegi ske liye aapko sabse us group ko open karna hai jiski aapko group history ko delete karnaa hai| usme aapko three dots par click karna hai jisme aapko more wale option par chale jaana bhai | iske baad aapko sabse upar clear chat par click karna hai aur history ko delete kar dena hai | isi prakaar aapko apne sabhi whatsapp group ki history ko delete kar dena hai |


whatsapp apps tips and tricks


#3 friends chat ek saath delete kare :-


aap jitne bhi friends se baate karte ho yaa phir photos ,videos ,document aati hai unse bhi storage bharti hai iske liye aapko apne friends se ki gayi chatting ko bhi delete kar dena chahiye | iske liye aapko whatsapp setting me jaakar usme chats wale option par click karna hai uske baad agar aap apni chat ka backup lena ho to le sakte ho nahi to aapko chat history par click karna hai usme aapko clear all chats par click karna hai | usme aapko delete media from my phone par check mark karna hai | aakhir me aapko clear all message par click karna hai | is tarah aapke saare friends ki chat history delete ho jaaagi


whatsapp apps tips and tricks


Is prakaar aap in teen tariko se apne mobile ki storage ko bharne se rok sakte ho |


Post a Comment

Previous Post Next Post