Google Safe Search Kya Hai Bad Websites Ko Block Kaise Kare


Google Safe Search Kya Hai


kya aap jaante hai ki Google Safe Search Feature kiya hai aur iska istemal kaise kare | chhote bachcho ke liye kaise upyogi hai aaj ham iske baare me baat karenge | aaj ki is Technology ki duniyaa men bachcho ko Internet se dur rakhna mushkil hai khaas taur par chhote bachcho ko dur rakhna maata pitaa ke liye bahut badhi pareshani hai kai maamlon me to bachche apne maata pita se bhi adhik jaante hain Technology aur Internet ke baare men aur yahi baat bahut bdi samasya ka karan bhi hai |


jab bhi Internet ki baat aati hain to sabse pahle hamare man me Google ka naam aata hain kyon ki yah sabse bada Search Engine hain bahut se log iskaa istemaal daily karte hai or ismen adhik sankhya bachcho ki hoti hai is liye ham aapke saath me google ka Google Safe Search ke bare me bataye | taaki aap iska istemal karke apne bachcho ko Internet par Safe rakh sake |


aajakal chhote-chhote bachche bhi Internet se jud rahe hai taaki wo Online Study aur video dekh sake | lekin usi ke saath me Internet par kuchh aisa Material bhi hain jo ki bachcho ke liye bilkul sahi nahi hai or jisse bachcho par galat prabhaav padta hai isi baat ko dhyaan me rakh kar | google ne Google Safe Search Feature ko taiyaar kiya hai iska upyog karna bahut saral hai |





Google Search Engine me aapko anek Feature mil jaayege | jisse aap apne hisab se set kar sakte hai taaki aapko us tarah ki sarch result mile | lekin hum aapko bataynge ki bachcho ke liye google sarch ko kaise safe banaaye | to sabse pahle aapko bata de ki Google Safe Search koi dusraa Search Engine nahi hai yah google sarch ka hi hissaa hai yah Feature kafi achchha hai kyu ki isme aap Violent aur Adult Content ko Filter kar sakte hai |


aap ise Pornography ko block kar sakte hain yah 100% sahi nahi hai lekin phir bhi aapko isse bahut madad milegi | Violent, Adult Content ko Block karne me bahut madad karegaa | iski madad se aap Adult Videos, Images ko Block kar sakte hain ham aapko Step By Step bataynge taki aap bhi iska upyog kar sake | aur apne bachcho ko Internet par Safe rak sake |


1.aap Google Homepages ko open kare | us ke baad me aapko niche Right Side par Setting ka option milega | vaha par click kar de |



2.jab aap setting par click kare | tab aapko bahut se option milege | usme aap ek Search setting kaa bhi option hoga | waha par click kare |



 3.jab aap Search Setting ko open karenge | tab sabse pahle Safe Search Filter ka option hoga | us par aap Tick karke setting sev par click kar de | use baad me aap iska upyog kar sakte hai |



aap soch rahe honge ki Google Safe Search Feature upyog karna chahiye yaa nahi to yah bilakul aap par nirbhar karta hai agar aapko Search Result me Violent aur Adult Content ko Block karna chaahte hai to aap iskaa upyog kar sakte hai or jab chahiye aap ise On/Off kar sakte hai |


Aager hamara post pasand aye to aap ise share kare

Thank you





Post a Comment

Previous Post Next Post