What is Firewall in Hindi? Type of firewall

 What is Firewall in Hindi? Type of firewall


Firewall kya hai? kisi computer user ke liye kyu jaruri hai? Iske baare me bahut hi kam logo ko is baare me jaankari hai. jis tarah se ham apne ko highway traffic, health aur daily life ko sahi tarike se aur surakshit yani secure rakhne ke liye alag-alag security prevention ko dhyaan me rakhte hai thik isi tarah Computer ko sahi tarike se chalne ke liye computer protection ki jarurat hoti hai. Iske liye ham anek tarah ke security system ka use karte hai. ham yahan par inhi me se sabse trusted computer security system ke baare me baat karne wale hai.





Virus aur Malware se apne computer ko bachane ke liye tarah-tarah ke features wale Antivirus ka istemaal karte hai. lekin ye sabhi tab kaam karte hai harmful virus computer me aa jaate hai. aise me users ko nuksan ho sakta hai lekin ‘Firewall’ ak aise system jo ki computer par malware ko ane se hi rok deta hai. Firewall virus ko kaise rokta hai? 


What is Firewall in Hindi?



Firewall ek network security system hai jo ki internet ya private network se aane wale unauthorized access, malware aur virus ko computer par aane se rokta hai. jab bhi koi Ransomware jaise khtarnak virus ya koi haikar computer ko access karne ki koshish karta hai to utility software ya hardware computer ki inse suraksha karta hai taaki koi computer data ko chori na kar paye.


Firewall security features, ek application software program ki tarah ya phir ek hardware system ki tarah hota hai aur jab bhi computer Internet ya kisi private network ke saath connect hota hai. tab Firewall computer par aane vaale sabhi unauthorize traffic access ko rakhta hai aur uske baare me user ko pahle se security jaankari de deta hai.


jaisa iska naam hai waisa iskaa kaam bhi hai yah computer aur Internet ke bich ek security wall(surakshaa divaar) ki tarah khda hota hai. jab ham computer par internet use kar rahe hote hai to us samay bahut attackers hamare computer me unwanted applications install karne ki koshish karte rakhte hai aise me yah bodyguard ki tarh khda hota hai.


Firewall kitne prakar ka hota hai? –  Types of Firewall System:


Firewall types ki baat kare to ye mukhyatah do prakaar ke hote hai ek jise Software Firewall ke naam se jaante hai aur dusra Hardware Firewall.


1. Software Firewall


yah sabse sasta sabse common type Firewall hai jise aasani se computer par install kiya ja sakta hai. Windows OS(Operating System) yaani Windows 7,8,8.1 aur Windows 10 ke saath to yah inbuilt milta hai aur nye users ko pareshaani na ho isaliye Windows me pahle se yah security feature enable hota hai aur computer ko protect karta hai aur ham users chaahe to iske setting ko apne jarurat ke hisab se change kar sakte hai.


Windows firewall inke antivirus application ke saath bhi milta hai aur iske saath bahut se aur bhi best free firewall software hote hai jisme se kuchh yahaan par diye gaye hain.


Comodo – yah ek Free  software hain jo ki PC ko malware, hackers se surakshit rakhta hai.


ZoneAlarm – yah ek free Windows application hai aur is samay sabse behatar me se ek hai.


2. Hardware Firewall


Is tarah ke Fire wall ke physical device ke rup men hota hai aur ye costly bhi hote hai. Hardware firewall ko jyadatar bade companies ke dwara use kiya jaata hai. Inko pahle se internet router ke saath jod diya jaata hai jo vahi se aane wale sabhi unauthorized access ko rok dete hai. jaha software-based fire wall personal system ke liye hote hai vahi par hardware ko business server ke liye use kiye jaate hai.


bahut se computer hardware aur antivirus banane wali companies hardware fire wall banti hai jisme se kuchh popular hain. Norton security, Cisco firewall, Network security firewall.


3. Firewall As a Service:


Firewall as a service jise (FWaaS) ke naam bhi jaana jaata hai aur yah ke new security tarika hai. aap sabhi jaante hai ki cloud technology aaj ke samay me sabse trending technology hai aur har ek business apne important data ko cloud par store kar rahe hai aur aise me unhen ek trusted security system ki jarurat hai aur FWaaS unke liye behatar security provide karta hai.


yah ek new-generation firewall security hai aur is tarike se system se ek device ko ek security se har jagah secure kar sakte hai aur aaj ke samay me is tarah ki security ka demand sabse jyaada hai aur jitne bade companies hai vah sabhi isi tarah ka security istemaal karte hai.


firewall ke phaayde  – Benefits of Firewall Security:


Computer ke liye iska roll kya hai? Iske baare me aap samajh hi gaye honge. aaiye jaante hai iske fayde ke baare me ki yah kis tarah se ek personal system aur computer server ko safe rakhtaa hai aur sabhi works ko behatar tarike se pura karne me madad karta hai.


Monitor Incoming Traffic:


Firewall hamare computer par aane wale sabhi entering traffic ko monitor yaani jaanch-pdtaal karta hai aur jo security ke hisaab se hamaare computer ke liye sahi hote hai unhen hi aane ki anumati deta hai baaki ke sabhi traffic ko vahi par block kar deta hai. Example ke  taur par agar aap free movies downloading site ke baare me search karte hai to aise jagah par aapko bahut se pop-up ad, clock link jaise cheeze  dekhne ko milta hai jiske saath jude hote hai bahut se unauthorized traffic source aise me yah un traffic source ko hamare computer tak aane se rokta hai.


Prevent & Stop Keyloggers:


Keyloggers high risky hote hai jo ki computer aur user dono ko nuksaan panhucha saktaa hai kyuki cyber-crimnals iske maadhyam se computer par type kiye jaane wale keyword ko seve kar lete hai. aise me Firewall security enable hone se ham aise keyloggers attackers se apne computer ko surakshit rakh sakte hai.



Post a Comment

Previous Post Next Post