Top 10 Best Free Online Backlink Checker Tools



Best Free Online Backlink Checker Tools


 New bloggers  backlink ke baare me jyada nahi sochte hai iske liye wah khud hi jimmedaar hote hai. Wah nahi jaante hai, ki quality backlink kha se aur kaise banayi jati hai. ab mai aapko backlink check karne ke free and paid backlink checker tools ke baare me batane wala hu. jiski madad se aap apne blog website ke lia backlink check kar sakte ho.  mai aapko jo backlink checker tools ke baare me bata raha hu inme se kuchh tools free hai aur kuchh paid tools hai.








1:- Ahref 


Ahref world ki top best backlink checker tool hai. yah tool paid aur free version me aata hai. agar aap free version ko use karnaa chahte ho, toh aapko pahle ahrefs ki site par signup karna padega free version me aap apni site ki total backlink ki jaankaari dekh sakte ho, aur hamaare pass kitni backlink hai aur vah kaha-kaha se aayi hai. Iski jaankari aapko free version me mil jaati hai. agar aap paid tool use karna chaahte ho, to aapko aur bhi adhik backlink aur aapke blog website ki puri jaankari milegi.


2:- Semrush


Semrush world famous Seo tool hai. yah bhi best backlinks checker tools hai. hame semrush me backlink compare tool bhi miltaa hai. jisse ham hamare blog site ki backlink dusre blog site se compare kar sakte hai. Semrush paid tool hai lekin backlinks check karne ke liye aap free version ko use kar sakte ho.


3:- Moz.com


Moz bahut hi powerful backlinks checker tool hai. Isko professional blogger jyada use karte hai. agar aap iska free version use karna chaahte ho, toh aap isse sirf backlink hi check kar sakte ho. agar aap paid version use karte ho, toh apne blog website ki do follow backlink, aur no follow backlink ke alawa domain authority, page authority bhi check kar sakte ho. yah bahut hi achchha backlink checker tool hai. aap ise ek baar jarur use karen.


4:- Open Link Profiler


Open link profiler bhi backlink check karne kaa achchha tool hai. aap apne blog website ki page rank ko behatar karne ke liye kaunse bad link hataa isko  analyst karne ke liye is tool ka use kar sakte ho. Ismen ke prkar ke filter bhi hai. jinhe aap apne jarurat ke anusar use kar sakte ho.


5:- Rank Signals


Rank signal free backlink checker tool hai. jo bahut hi achchhi jaankari aapko deta hai. yah tool hame hamare social media par kitne followers hai, Alexa rank  kitni hai, page and domain ki information is tarah ki jaankari

 provide karta hai. yah bahut hi achchha free tool hai aap ise use kar sakte ho.


6:- Buzzsumo


Buzzsumo free aur paid do tarah ke version me aata hai. ye bhi ek best backlinks checker tool hai. aap ese bhi try kar sakte ho.


7:- Google Search Console


Google search console ka naam hi google webmaster hai.  google console me aap search traffic section me aakar apni blog website ki backlinks dekh sakte ho.


8:- Backlink Watch 


Backlink watch backlink check karne kaa free tool hai is par aap chaahe jitni baar iska upyog kar sakte ho. yah bhi aapke liye upyogi tool hai.


9:- Open Site Explorer


Open site explorer world famous moz ka hi ek product hai. Is tool ki madad se aap apni site ki backlink check kar sakte ho. aap is tool ka upyog karke dusre site ke saath apni site ko compare karke yah dekh sakte ho. ki unko backlink kha se aa rhi hai.


Dosto aapko hamara post agr pasand aye to hame comment kake btaye aur hamare post ko share jarur kare

Thank you


Post a Comment

Previous Post Next Post