Jio Meet App Kya Hai? Jio Meet Ko Kaise Istemal Karte Hai


doston aj main apko Jio Meet App ke bare me bataunga। Jio Meet App Kya Hai aur iske kya-kya Features hai? es Application ko kaise estemal karte hai?

Jio Meet App Kya Hai


Is post me main apko Jio Meet ke bare me puri jankari batane vala hun। to aao jante hai es App ke bare me। 


doston hal hi me hua Covid 19 Pandemic ki vajah se sare School, College, Governmet Offices, Companies adi। sab band ho gaye hai। esi ke chalte bahut se logo ko kayi pareshaniyo ka samna karna pad raha hai aur unke sare kam dhande thap pad gaye hai। vo log thik se ek dusre se Communicate nahi kar pa rahe hai। 


esse bachne ke liye ki sare logo ne apna kam Online kar diya hai। desh bar me adhikatar bachchon ki padhai Online shuru kar di gayi hai। aur badi companya bhi apna kam ko jaise taise Online kar rahi hai।


ajekal log apna kam Video Conferencing Apps ki madad se kar rahe hai। unme ek App shamil hai Jio Meet. aao jante hai Jio Meet App kya hai। 


Jio Meet App Kya Hai In Hindi 


Jio Meet App ek Video Conferencing App hai। jise bharat ki sabse badi company Reliyence Jio ne lanch liya hai। ye ek free video caling App hai। jisme ap kahi bhi Video Conferencing kar sakte hai। ye App puri  tarah se Made In India hai। jo ki bahut achchhi bat hai। esme kisi bhi bahar ki company ka koi entarpher nahin hai। 


Jio Meet Android, Ios, Windows, Mac, Web en sabhi platform ko saport karta hai। ye App 3 July 2020 ko launch hua tha। aur uske kuchh samay ke andar hi ye bahut papular ho gaya। eske playstore par 1 Million se bhi jyada Downloads ho chuke hai। aur bharat me eska user bes bahut achchha ban gaya hai। 


Jio Meet ke ane se pahle market me Google Meet aur Zoom jaise Video Conferencing Apps bhi available hai। sabse pahle jyadatar log Zoom App ko estemal karte the। lekin esme Security Issues aur Data chori ki vajah se logon ne ese estemal karna lagabhag band kar diya hai।


ajekal log Google Meet ko bhi estemal kar rahe hai। ye Google ka hi App hai। ap Jio Meet ko bina kisi sandeh ke estemal kar sakte hai। esme apka Data Safe rahega।


Jio Meet App Download Kaise Kare


  • 1. agar ap ek Android User hai to ap Google Playstore par jekar Search me Jio Meet likhe aur Search kare। uske bad ap Jio Meet ko Install kar le।                                                         
  • 2. agar ap IOS user hai to ap ese App Store se Download kar le।                                              
  • 3. agar apko ye Desktop/Laptop ke liye Download karna hai। to ap ese JioMeet ki Official Website se Download kare।  


Jio Meet Me Account Kaise Banaye


1. Jio Meet App ko Download karne ke bad ese Open kare। 


2. Open karne ke bad apko tin Option milenge। pahla Option apko Join A Meeting ka milega। agar apko kisi ne Meeting Code ya Meeting Link bheja hai। to ap use Meeting Id me dalekar Meeting ko Join kar paange। 


3. dusra Option hame Sign Up ka milta hai। agar apko ek Meeting Create karni hai। to apko pahle Sign Up karna padega। 


4. Sign Up ke baton par apko click karna hai। phir apko vahan par apna mobile nambar ya Email Id dalna hoga। ap jo chahe vo dal sakte hai। phir apko First Name aur Last Name dalna hai aur I Agree Terms and Condition ke tik kar dena hai। uske bad apko Next karna hai। 


5. agar apne Mobile nambar dala hai to apke pas ek OTP aaga Verification ke liye aur agar apne Email Id dali hai to apke pas ek Mail ayegi Verification ke liye। tab apko Verify kar lena hai। 


6. agar apne Email Id dali hai। to Verify hone ke bad apko ek Password Set karna hoga। Password ap apni marji se koi bhi dal sakte hai। jo apko thik lage aur phir apko Continue pe click karna hai। aur ab apka Jio Meet account aban chuka hai। 


7. eske bad apko apni App ko band karke dubara Open karna hai aur tisre Option Sign In par click karna hai। 


8. phir apko vahi Mobile Number ya Email aur Password dalekar Sign In kar lena hai। ab ap apne Jio Meet account me se Meeting ko Create kar payenge। 


Jio Meet Me Meeting Kaise Create Kare


  • 1. Jio Meet me Account bana lene ke bad apko App ko Open karna hai।                            
  • 2. phir apko ek New Meeting ka Option milega। uspe apko click karna hai। eske bad apko Personal Meeting Id ko On karna hai aur Start A Meeting par click karna hai।         
  • 3. ab apki Meeting shuru ho jayegi। ab apko Top me apna Meeting Id aur Password dikhega। use ap jisko Share karoge। vo us Id aur Password se Meeting ko Join kar lega।  


Jio Meet App Ke Features




1. es App me ham One To One miting ke sath-sath 100 logon ke sath miting kar sakte hai। 


2. iska interface bahut hi Simple hai। jise asani se koi bhi estemal kar payega। 


3. esme ham Unlimited HD Video Calling kar sakte hai। aur vo bhi bina ruke। agar ap 24 ghante bhi bat kar rahe hai। tab bhi apko koi problem nahin hogi। 


4. agar ap kayi logon ke sath Meeting kar rahe hai। aur unme se koi Person pareshan kar raha hai। to ham use Mute ya phir Remove bhi kar sakte hai।  


5. esme hame Screen Sharing ka bhi feature milta hai। jisse ham kisi dusre ensan ko apni bat Screen Sharing se samjha sakte hai। 


6. esme ham bina Account banaye Meeting ko Join kar sakte hai। agar kisi ne apko Meeting cod ya link bheja hai to। 


7. ye App puri tarah se Safe hai। aur Video Conferencing har tarah se Encrypted hai। jisse ki hame hamare Data ke chori hone ka dar nahin hoga। 


aaj apne kya sikha?


aaj hame jana hai ki Jio Meet App Kya Hai? esko kaise estemal kiya jata hai। eske features kya hai। ummid karta hun ki apko yah post achchha laga hoga। main apke liye rojana aisi jankari lekar ata rahunga।  




Post a Comment

Previous Post Next Post