How to Start Online Classes? | online coaching classes kaise shuru kare

 How to Start Online Classes? | online coaching classes kaise shuru kare? 


aise me agar ap ek Teacher hai aur apka sara kam band pada hai to ap Internet ke madhyam se apne us kam ko phir se ap start kar sakte hai aur apko yahan par bataunga ki kaise ap Online classis start kar sakte hai aur ghar baithe coaching business ko age badha sakte hai.




bahut se aise IIT, NEET, SSC CGL, High School, 10+2, Banking, PSU aur other exams ke individual teachers hai jinki kamayi lockdown ki wajah se band pad gayi hai aur chuki vah kisi location me bachcho ko bulakar class lete the aise me jab tak Corona virus ind nahi ho jata vah apka class start nahi kar sakte hai.


lekin ap sabhi jante ghar bina paise ke nahi chal sakta hai aise me agar apko apne class ko banaye rakhna hai aur is lock down ke mahol me paise kamana hai to Online platform ka sahara lena  padega aur main apko yaha par bataunga kaun-kaun se aise platform hai jaha ap online classes start kar sakte hai aur paise kama sakte hai.


aj bahut se aise teachers hai jo ki traditional coaching ke sath-sath online platform par bhi kam kar rahe hai aur apne income ko double kar rahe hai. 


lekin agar apko jyada logo tak pahunchna hai to iske liye online classis start karna hi sabse behtar hai aur iske liye bas apke pas kuchh basic cheeze honi chahiye





Requirements For Online Classes


narmal video to smartphone camera se bhi ban jayega lekin coaching ke liye chahiye quality video isliye apko ek DSLR camera kharidna hoga.


Whiteboard jo apke pas pahle se hoga agar apka budget hai to smart board ka istemal kar sakte hai.


video quality achchha rahe iske liye thoda sa lighting jo ki Amazon par apko mil jayega.


ke Lapel Mic jisse video me awaj behatar rahe iske liye ap Boya Mic ka istemal kar sakte hai.


ek Laptop Windows ya Mac koi bhi ho sakta hai jaha par video edit ho jaye aur video upload kiya ja sake.


Internet thode behatar speed wala ho jisse ap asani se alag-alag platform  par video apload kar sake.


agar apke pas ye sab hai to yahan par bataye gaye alag-alag madhyam se ap online classis start kar sakte hai.


tarika 1. YouTube par Online Classis Start kaise kare?


YouTube duniya ka sabse bada online video sharing portal hai jaha par har din lakho video upload hote hai jisme Intertainmet, tech, education jaise bahut se category ke video hote hai.


apne bhi dekha hoga bahut se log video apload karte hai aur guide karte hai ki YouTube se paise kaise kamaa? ya SSC course, banking course, IIT course jaise courses bhi offer karte hai ye apne bhi dekha hoga.


YouTube par apko online classes start karne ke liye channel bhi banane ki jarurat nahi hai kyuki jo bhi gmail google par lagin hoga us nam se by default YouTube channel ban jata hai aur ap direct video apload kar sakte hai.


lekin agar apko phir bhi Brand name se YouTube channel banana hai to yahan par click kare aur complete guide ke bare me jankari hasil kare.


Step 1. YouTube.com opan kare.


Step 2. Gmail Login kare.


Step 3. upar Right side corner par jana notification icon hai vah ek plas ka sign hoga us par click kare.


Step 4. jo bhi video apne banaya hai us select kare.


Step 5. vidiyo automatic apload hoga isliye thodi der wait kare.


Step 6. Video apload ho gaya hai is par Title lagaa aur Discription me video ke bare me thoda bataye.


Step 7. YouTube video par tag lga aur phir next…next karke apload finish kare.


YouTube Channel FAQs


Q1. YouTube par ek din me kitne video aplod kar sakte hai?


A1. ap din me kitne bhi video aplod kar sakte hai iska koi limit nahi hai.


Q2. Channel category kya hota hai?


A2. YouTube category batata hai chainal par kis tarah ke content hai jaise ki agar ap online classis start karna chahte hai to apke chainal ka category hoga Education. isi tarah aur bhi bahut se categories hain.


Music


Education


People & Blog


News & Politics


Kids


Film & Animation


Comedy


How to & Style


Q3. YouTube paise kaise deta hai?


A3. YouTube ke dikhne vale Advertising se jo paisa milta hai YouTube usme 45/55 ke ratio me revinue share karta hai. yani agar $1 income ho raha hai to isme 45 cents YouTuber ko milta hai aur 55 cents YouTube ko.


Q4. YouTube 1000 Views ke kitne paise deta hai?


A4. is saval ka koi fixed javab nahi hai ya category ke upar depend karta hai mai ne btaya hai ki 1000 views ya 100000 views par kitne paisa milta hai aur kaun se category me kitna paisa milta hai.


tarika 2. Un academy par Online Classes Start kaise kare?


ap sabhi jante hai ki YouTube free hai isapar jo bhi video ap upload karenge use koi bhi access kar sakta hai aise me ap agar ek coaching ki tarah hi IIT, NEET, SSC, Banking ya PSU classis start karna chahte hai. jaha par vahi log access kar sake jo ki apke course ko buy karte hai.


aise me apke liye Un academy ek behatar option hai yaha par ap online classes start kar sakte hai aur video upload kar sakte hai. yahan par classes start karne karne liye bhi requirement bilkul youtube jaise hi hai.


apko video bhi usi tarah record karne banana hoga aur dhyan dena hoga video aisa rahe jisme dekhne vale ko lage ki ap padha rahe hai na ki news pdh rahe hai. yahan par Un academy ne share kiya hai guideline agar kisi ko tutor banana hai Un academy par to apko unke hisab se vidiyo banana hoga aur unke bataye gaye tarike se kam karna hoga.




Post a Comment

Previous Post Next Post