Computer ya Laptop ke liye best 10 software



Laptop ke liye best  10 software-


is post me aapko computer pc me jo top 10 software hone chahiye vo software bataane vala hu in software se aapkaa PC safe rhega aur fast kaam karega aur aap in se bahut se kaam kar sakenge jaise photo editing, Cd making, writing etc.ye software sabhi windows OS must have software for windows 10 jaise windows xp. windows – 7,windows -8, windows 8.1,windows 10 sbhi windows me


Laptop Ke Liye 10 Software


friends aaj me aapko pc ke top 10 software ke baare me batane vala hu agar aapke pc me ye install nahi hai to aap asani se yahan se inhe download kar aapne desktop pc ya laptop me enhe use kar sakte hai. Computer me jarur instal karen ye 10 software hamesha ayenge kaam






1.VLC(videolan)


agar aap computer use karte hai chahe aap kaisi bhi window use karte ho lekin aapne vlc kaa naam to suna hoga yaa aapke computer me vlc pahle se install hoga jis tarah Android mobile ke lia sabse jaruri video software mx player hai usi prakaar computer yaa windows ke liye sabse achchha video player vlc(video lan) hai.


Vlc me ham koi bhi hd movie yaa video high quality me dekh sakte hai aur iske bahut features hain lekin unke baare me apni agli post me bataunga agar aapke computer yaa pc me ye  nhin hai aur agar aapke computer yaa pc me ye software hai lekin old version hai. toh aapko google se latest version download karnaa hogaa.


2. Adobe Photoshop


Friends adobe photoshop kaa naam to aapne suna hoga jis tarah Android mobile me pics art sabse achchha and popular photo editing app hai usi prakaar adobe photoshop pc yaa windows kaa sabse popular software hai adobe photoshop me ham bahut hi achchhi photo editing kar sakte hai agar aapke pass yah software nhin hai yaa eska old version hai to adobe photoshop kaa latest version download karne ke lia aapko google par search karnaa hogaa.


3. C CLEANER


C cleaner ek aisa software hai jo antivirus ki tarah kaam karta hai ye software sabhi pc me hona chahiye c cleaner se aap temporary file ko kisi 1 click me clean kar sakte hai. yah software sirf 300kb ka hai isliye yah software aapke pc ki jayda internal storage nahi leta aur is se aapka pc yaa computer hang bhi nahi hota.


4. Antivirus


sabhi pc yaa computer me antivirus install hona chahiye kyonki yah computer ki ko safe rakhne ke liye  important hai agar aap market me antivirus buy(kharidne) karne jayge to 600 se 1000 rupee me milenge antivirus licence key ke saath.


agar aap paise kharch nahi karna chaahte hai to avast kaa antivirus use kar sakte hai. yah ek free antivirus software hai jisse sabhi free mai use kar sakte hai. eske lia aapko koi activation key ki jarurat nahi padti hai.


5. Winrar


Winrar pc yaa computer ke liye sabse important software hai kyon ki internet se aap jo bhi software yaa games download karenge vo jaruri nahi hai ki exe me ho jisse aap direct computer me install kar sake jayda tar games yaa app winrar me hote hai kyon ki winrar game yaa app find karke ek book ki tarah file banaa detaa hai. jisse winrar archive kahte hai winrar ke baare me jayda detail me aapko agli post me bataunga. 


6. Picasa


Picasa software kaa naam to aapne sunaa hogaa picasa se aapke computer me jitne bhi photos hongi vo sabhi ek hi jagah pe aa jaaygi picasa se aap aapne photos ko edit bhi kar sakte hai aur date yaa name ke hisaab se view bhi kar sakte hai aur aapne photos ko frame yaa Collage bhi bana sakte hai.


7. Nero


agar aapko cd/dvd making yaa burning karnaa hai to nero best software hai cd/dvd make yaa burn karne ke lia aise aap aapne computer ki koi bhi file jaise mp3 ,mp4 videos hd videos games cd/dvd me dal sakte hai. aur cd ya dvd ko burn ya formet bhi kar sakte hai esko aap sabhi windows me use kar sakte hai.


8. Snagit


Friends agar aapne snagit kaa naam nahin sunaa to main aapko batata hu ki snagit ek image yaa video editor software hai esse ham bahot easily image ko edit kar sakte hai aur esse ham computer ki screen capture kar sakte hai aur ye screen recorder ki tarah bhi kaam karta hai jisse ham computer ki screen record bhi kar sakte hain aur agar aap ek blogger hai to ye aapke computer yaa pc me hona hi chahiye


9. Video scribe


Video scribe ek video editing software hai. jisme ham videos ko style se dekhaa sakte hai jaise video me text jod sakte hai video ko 3d look de sakte hai etc.

agar aap ek youtuber hai to aap yah software ek bar jarur use karen.


10. Google chrome


Computer yaa pc me internet chalaane ke lia google chrome honaa bahot jaruri hai. Google chrome se aap internet chalaane ke alaavaa offline bhi bahot se kaam kar sakte hai. Google chrome browser sabhi computer ya pc ya windows me hota hai lekin yadi aapke computer me google chrome nahi hai. tab aapko abhi download karna chahiye.


I hope doston aapko computer ke top 10 software wali ye information achchhi lagi hongi. aap chaahe toh ek baar techtipsarish.com par visit kar sakte hai. esse aapne doston ke saath social media site par share jarur karen aur aise hi aur bhi pc tricks se related post read karne ke lia hamaari site par daily visit karte rahi.


Post a Comment

Previous Post Next Post