Computer Network kya hai? Computer network ki jankari ! (What is Network in Hindi)

 

Computer Network kya hai? (What is Network in Hindi)


Computer Network ek aise computer ke samooh ya group ko kaha jata hai jo ki ek dusre ke sath linked hote hain, ye kuchh aise link hote hain jisse ki ye ek computer ko dusre ke sath communicate karne me madad prdan karte hain jisse ki vo apas me apne resources, data aur application share kar sake.


ye Computer networking ak aisi practice hai jisme ki do ya usse jyada computing devices ko ek dusre ke sath interface kiya jata hai vo bhi mukhy tor se data ke sharing ke lia. vahin in computer networks ko banaya gaya hota hai hardware aur software ke combination se. 




Computer Network ki paribhasha kya hai (Definition of Computer Network) 


Computer Network ki paribhasha ko samajhna ekadam se asan bat hai, ese bahut bar ek data network ke tor par refer bhi kiya jata hai. jaise ki ek data network me data ko ek dusre ke sath sajha karne ke lia unka ek dusre ke sath interconnected rahna jaruri hota hai. thik usi tarah se computer network me bhi computing devices ek dusre ke sath jude hua hote hain jisse ki vo data ka transmission aur reception kar saken. phir chahe yo koi bhi data kyun n ho, jaise ki picture, video, voice etyadi. 


Network devices es tarah ke communication ko karne ke lia bahut se prakar ke protocols aur algorithms ka istemal karte hain, ye specify karne ke lia ki kaise endpoints apne data ko transmit aur receive karen. 


Computer Network ke Types


Computer network ko unke size ya akar ke hisab se category me kiya jata hai. vahi ek computer network ko mukhy tah char prakaro me banta jata hai :


 LAN (Local Area Network)


 PAN (Personal Area Network)


 MAN (Metropolitan Area Network)


 WAN (Wide Area Network  ke prakar 


ab chaliye jante hain ki computer network ke prakar ke vishay me.


LAN (Local Area Network)


Local Area Network ek group hota hai computers ka jo ki ek dusre ke sath connected hote hain ek chhote se area me jaise ki koi building, office adi.


LAN ka jyadatar istemal do ya usse jyada personal computers ko ek sath connect karne ke lia kiya jata hai vo bhi ek communication medium jaise ki twisted pair, coaxial cable, ke madad se. 


ye jyada kimti nahin hote hain kyunki esme kam costly hardware ka istemal hota hai jaise ki hubs, network adopter, aur Ethernet cables.


Local Area Network me data bahut hi teji se transfer hota hai bakiyon ki tulna me.


Local Area Network apko jyada security prdan karti hai.


PAN (Personal Area Network)


Personal Area Network me eske network ko arrange kiya jata hai ek individual person ke 

Charo taraf hi, jiski typically range hoti hai karib 10 meters.


jaise ki nam se pata chalta hai ki Personal Area Network ka istemal personal kam karne ke lia kiya jata hai. 


vo Thomas Zimmerman hi the jinhonne ki apne research ke dvara Personal Area Network ka idea sabse pahle duniya me laya tha. 


Personal Area Network ki range hoti hai karib 30 feet ki area.


Personal computer devices jinka istemal personal area network ko develop karne ke lia hota hai vo hain laptop, mobile phones, media player aur play stations.


Personal Area Network ke prakar :


PAN ya Personal Area Network ke mukhy rup se do prakar hi hote hain. 


Wired Personal Area Network


Wireless Personal Area Network


Wireless Personal Area Network: 


Wireless Personal Area Network ko develop kiya jata hai simply wireless technologies jaise ki WiFi, Bluetooth ke istemal se. vahin eski kaphi low range network hoti hai.


Wired Personal Area Network: 


vahin Wired Personal Area Network ko create karne ke lia USB ka istemal kiya jata hai.


chalia ab Personal Area Network ke kuchh example ke upar gaur karte hain :


Body Area Network: Body Area Network ek aisa network hota hai jo ki ek ensan ke sath sath move karta hai. udaharan ke lia, ek mobile network jo ki apke sath hi hamesha rahta hai aur vahin jata hai jahan ki ap jate hain. man lijiye ki ek person establish karta hai ek network connection aur phir kisi dusre device ke sath ek connection create karta hai information share karne ke lia.  


Offline Network: ak offline network ko asani se ek ghar ke bhitar hi create kiya ja sakta hai, shayad isliye ise home network bhi kaha jata hai. ek home network ko design kiya gaya hota hai dusre devices jaise ki printers, computer, television etyadi ko integrate karne ke lia lekin vo sabhi internet ke sath connected nahin hote hain. 


Small Home Office: ese istemal kiya jata hai bahut se prakar ke devices ko internet ke sath jodne ke lia aur phir ek corporate network ke sath VPN ke istemal se.


MAN (Metropolitan Area Network)


ek metropolitan area network aisa network hota hai jo ki cover karta hai ek bahut hi bdi geographic area aur uske lia vo alag prakar ka LAN ko interconnect karta hai ek bdi network form karne ke lia. 


Governmet agencies jyadatar MAN ka istemal karti hain nagarikon aur private industries ke sath connect hone ke lia.


MAN me, bahut se LANs ko ek sath connect kiya jata hai ek dusre ke sath vo bhi ek telephone exchange line ke madhyam se.


MAN me sabse jyada istemal hone vali protocols hain RS-232, Frame Relay, ATM, ISDN, OC-3, ADSL, etc. 





mujhe ummid hai ki apko meri yah lekh Computer Network kya hai ? jarur pasand ai hogi. meri hamesha se yahi koshish rahti hai ki readers ko computer network ke vishay me puri jankari prdan ki jaye jisse unhen kisi dusre sites ya internet me us article ke sandarbh me khojne ki jarurat hi nahin hai. esse unki samay ki bachat bhi hogi aur ek hi jagah me unhen sabhi information bhi mil jayenge. 


yadi apke man me es article ko lekar koi bhi doubts hain ya ap chahte hain ki esme kuchh sudhar honi chahia tab eske lia ap nich commets likh sakte hain. 


yadi apko yah post pasand aya ya kuchh sikhne ko mila tab please is post ko Social Networks jaise ki Facebook, Twitter aur dusre Social media sites share kijiye.


dhanyvad


Post a Comment

Previous Post Next Post